Albaari - Zakhm

0
original text at rerura.com/estonian/albaari-zakhm-1317
(VERSE 1)
 
Toone chua zakhm ko mere
Toh woh laa-ilaaj bana
Toone suna dard ko mere
Toh woh be-hisaab badha
Bekhayali ke dino mein bhi
Sirf tera hi khayaal dimaag mein ada
Jab jab bhoolney nikla tujhe
Mehfilon mein tera hi zikr chida
Aur agar qaid karloon chaar diwari mein khudko
Toh yeh tanhaai ka aalam, teri yaadon ko zinda karne ki wajah bana
Apne aap se ho gaya tha bekhabar
Jab se kara maine tere liye iss dil mein ghar
Maaloom nai bewafaa kahoon ye beparwaah
Jo tu nikal gyi isme se apni yaadon ka saamaan chodkar
Ghaneemat hai ki ek jhatke mein na mara main
Dheere-dheere jo chakha tha maine terе ishq ka zeher
Laakh toofaano se toh bach sakta hai insaan
Magar jaan lе leta hai mohabbat ka yeh keher
Kinaara bhi naseeb na hua mujhe
Tanhaai ke samandar mein le gayi tere ishq ki yeh leher
 
 
(VERSE 2)
Ab main raat ka aadi
Subah se naata banta nai
Tere ishq ki madhoshi kaafi
Koi aur jaam ab sar chadhta nai
Na miley tere jaisa koi saaqii
Toh main bhi maikadon mein bhatakta nai
Tere honey se hi thi inn gulon mein bahaar
Tere baad toh koi bhi phool pehle jaisa chehekta nai
Tu khwaab-o-khayaal se
Ab haqeeqat ka malaal hai
Jiske har harf pe la-jawaab hum
Tera ishq aisa sawaal hai
Shaayad apna saath bas itna hi tha
Maine bhi kaafi jad-o -jehad karli
Tu bhi ab nidhaal hai
 
Shaamein lambi ho gayi
Savere ghat te rahe
Toone dhoond liya naya humsafar
Hum aaj bhi us puraane safar mein atke rahe


Edit
Copy

Foto:

Edit

SoundCloud:

Edit

YouTube:

Edit

Biography:

Edit

More Albaari lyrics

Albaari - Zakhm
(VERSE 1) Toone chua zakhm ko mere Toh woh laa-ilaaj bana Toone suna dard ko mere Toh woh be-hisaab badha Bekhayali ke dino mein bhi

New

Köömes - Sädemeid
Miljon põhjust Mitte millekski Minu kord põrgusse minna Ihuüksinda Muutuda

Köömes - Üksi
Kaua ma korjan neid katkiseid hingi Koju ja pesen ja kuivatan Kasin ja katan ning toidan

ONKEL JONKEL - ÕNNELIK, ET OLEN KURB
Olen õnnelik, et olen kurb Olen nii rõõmus, et olen hull Milleks muidu üldse tahakski

ONKEL JONKEL - TAEVAS PILVE PEAL
Pole mingit mõtet, kuid ikka mõtlen ma Öösiti, kui ei saa magada Tahaks lihtsalt uinuda

ONKEL JONKEL - SELAVII
Õuest kostumas on müra Me ei maga veel Poolteist tundi vahtind seina Ei näe se’st

ONKEL JONKEL - SURFAVAD PINGVIINID
Vaatan kellalt aina time’i Septembrist maini Ootan õitsvaid taimi Seniks teleka ees

ONKEL JONKEL - TUDENGI ROMANTIKA
Tahaks panka röövida koos sinuga Välismaale põgeneda dokumendita Maks on turses, aju

ONKEL JONKEL - LOSSIBLEIS
Meil on vaikus Külas eilsest saati laiskus Meil on paiku Kus keegi teine käi, ei